Tuesday, April 26, 2011

Aasman Ki Or Ud Chala Ek Panchi


Aasman ki or ud chala ek panchi,
Ek naya aashiyaan dhundta badalon ke jahan mein.

Yun to ye Dharti kuch kam nahi thi khushnuma,
ki uski kyariyoon ne bi khushbu bikheri.
Ki pedon ki chaon panchi ko bulati,
Thandi si hawa thi use chuke jati.
Par ye nahi tha uska thikana,
Nahin tha yahan usne theher jaana.
Rukna, theherna na sikha tha usne,
Ki chalte hi jaana hi jindagi hai.
So,ek nayi khoj karne chala ek panchi,

Aasman ki or ud chala ek panchi,
ek naya aashiyaan dhundta badalon ke jahan mein.

Har nayi rah na hoti hain aasaan,
Ki phoolon mein bi kante hain hote.
Ek nayi shuruaat hogi to mushkil,
Ye wo jaanta tha, ye wo samajhta tha.
Ki aasmaan mein sheetal chandni hi na hogi,
Jalti dhoop udna karega to mushkil.
Par mushkil se ghabraye wo rahi hi kya hai,
Udna bhool jaaye wo panchi hi kya hai.
To lo pankh failaye wo phir ud raha hai,
Badalon ko bhedne gaya ek panchi.

Aasman ki or ud chala ek panchi,
ek naya aashiyaan dhundta badalon ke jahan mein.